اردو हिंदी
Aaine | Shaahi Shayari
aaine

Nazm

Aaine

Qazi Saleem

;

aur phir
raat ki bisat ulaT gai

musafiron ne ek sal ke
purane chehre phenk kar

nae laga liye
kitne KHush-nasib hain jin ke pas

koi aaina nahin
jin ke pas

waqt sirf waqt hai
koi silsila nahin

bhala nahin bura nahin
kitne KHush-nasib hain

ek sal mein
sab badal gae

zamin ki kokh tuKHm-reziyon ki muntazir hai
pichhli fasl kaT gai

raat ki bisat ulaT gai
'salim' ek azal ki chiKH

raat ki bisat ulaT gai
chalo sameT len

jhilmilate aks par nishan shabahaten
bund ashk ki

chashm-e-mehrban se bund ek ashk ki
warna roz-e-hashr

apne apne marqadon se
kis tarah uThae jaenge

kaisa saneha apne aap se
kis qadar alag hain hum

kaisa saneha hai ye
kaisa saneha hai ye

sard raat
khiDkiyon mein sard tirgi

tirgi ke aaine tale
ek faza-e-la-makan

amiq kis qadar amiq
basit kis qadar basit

meri dast mein se dur
meri ruh par muhit

shajar shajar mein dasht-o-koh mein rawan-dawan
hamare jism ka lahu

ek sail
sail-e-be-karan

musafiron ki bhiD se alag
mujh se be-KHabar

tum se be-niyaz
hamare aks-e-be-hijab

daur daur pur-fishan
un ki apni zindagi

un ke KHwab
ek kiran ki chhuT se

sabz surKH nilgun banafshai
kitne rang kaise kaise naqsh-e-na-tamam

jumbish-e-nigah se bane
jumbish-e-nigah se pighal gae