bosida si TaT ke pichhe
kachchi si ek jhonpaDiya mein
barfili si sham utri hai
tanhai ka pallu thame
sahmi sahmi kuchh bechen si
wo kone mein simTi hai
Tin ki chhat pe
ghunghru bandhe chhan chhan karti
wahshat mein diwana-war
barish nachti phirti hai
dur kahin baadal ki garaj mein
ek manus si aahaT hai
jis ki gili sargoshi se
har su chhai virani ke
kale baadal chhaTte hain
sare sae Dhalte hain
Nazm
AahaT
Maimoona Abbas Khan