do sharabi daraKHt
apna baDa sar hila hila kar jhum rahe hain
suraj ke jam se
aaj unhon ne
kuchh ziyaada hi chaDha li hai
ab wo
apni shaKHon mein baiThe
parindon ki chahkar se ziyaada
saDak par chalte traffic ke shor ko
inhimak se sun rahe hain
donon sharabi daraKHt
jaDon samet
saDak par aa gire hain
traffic jam ho jata hai
basen, karen
scooter aur cyclen ruk jati hain
horn bajna shurua ho jate hain
magar nashe mein dhut daraKHt
jaDon samet
saDak ke bichon bich paDe hain
main ne daraKHt se ek shaKH toDi
aur sari raat
apne aas pas rengne wale kiDon ko
marne mein guzar di
subh dusre kiDon ke sath sath
mujhe us ki lash apne pairon ke aas pas hi mili
jis ke hukm par main ne apne mashkize ka pani
ret par gira diya tha
aur nange pair us ke pichhe ho liya tha
shayad main ne andhere mein
daraKHt ki shaKH se use bhi kuchal diya tha
main ne daraKHt ko dekha
magar wahan to sire se koi daraKHt tha hi nahin
main ne aage baDhne ki Thani
phir mujhe andaza hua
koi mere sath sath chal raha hai
main ne use muKHatib kiya
aur use mashkize ka pani zae karne ka hukm diya
aur us ke aage aage chalne laga

Nazm
Aadmi ka nasha
Saeeduddin