maut ek aham kaam hai
ise yaksu ho kar karna chahiye
ya sare kaam nimTa kar
kisi karobari saude se pahle
intiKHabi muhim ke dauran
aur nazm ke wast mein
maut nahin aani chahiye
maut se pahle
irade pure kar lene chahiyen
unhen dariya mein phenk dena chahiye
ya unhen wasiyyat mein likh dena chahiye
aisa karne wale
udas ho kar marte hain
aur un ki maut
utni afsosnak nahin hoti
jitni un ki
jo maut se pahle apne kaam nahin nimTate
aur hairan ho kar mar jate hain

Nazm
Aachanak mar jaane wale log
Syed Kashif Raza