ajib hai ye zindagi kabhi hai gham kabhi KHushi
har ek shai hai be-yaqin har ek chiz aarzi
ye karwan ruke kahan ki manzilen hain be-nishan
chhupe hue hain raste yahan wahan dhuan dhuan
KHatar hain kitne rah mein safar hai kitna ajnabi
ajib hai ye zindagi
ye gal zard zard se aTe hue hain gard se
sitam-rasida dil yahan taDap rahe hain dard se
ye suraten ki jin pe hai sitam ki dastan likhi
ajib hai ye zindagi
hain behtari ke waste to ye sitam qubul hain
chunenge phul jaan kar jo rah mein babul hain
KHushi se gham sahenge hum jo gham ke baad hai KHushi
ajib hai ye zindagi

Nazm
Ajib hai ye zindagi
Tanveer Naqvi