binai bhi apni meri
KHwab bhi mere apne hain
binai bhi sachchi meri
KHwab bhi mere sachche hain
in donon ki lazzat sachchi
aur aziyyat bhi sachchi
mujh ko ye malum to hai ki
tum mere aur mujh jaise
lakhon logon ke KHwabon se nafrat karte rahte ho
aur us ki tabir ke badle
bhuk iflas gharibi aur mahrumi
ke darwaze wa karte hi rahte ho
aur un darwazon ke zariye
bimar ujale
naslon tak phailate ho
dahshat-gard banate ho
lekin tum ne kab socha hai
jalti aur dahakti raaten
waqt ka chalta pahiya yaksar
aam nahin kar sakti hain
meri aankhon ki binai
mere KHwabon ki sachchai
mujh se chhin nahin sakti
phir bhi sun lo
azm hai apna
jab tak aankhon ki binai
jab tak apne KHwab salamat
tez nazar na-binaon ko
apne KHwab nahin bechenge
chahe kuchh ho
chahe dhyan ganwa den apna
chahe apni jaan bhi jae
Nazm
Dahshat-gard banate ho
Yawar Amaan