اردو हिंदी
Usne mujhse kaha tha | Shaahi Shayari
usne mujhse kaha tha

Nazm

Usne mujhse kaha tha

Yaseen Qudrat

;

malgaji arz-e-gham zard sa aasman
aur ufuq-ta-ufuq aur shafaq-dar-shafaq

surmai baadalon mein udasi ke rang
us ke kamre ke mahaul mein

ek malal-afrin kaifiyat
us ki nargis si aankhon mein larzan hinai

nishan
al-aman

is ka ghuncha-dahan
adh-khule phul sa

us ke ruKHsar par
surKHiyon ki phaban

aur burraq hathon pe rakhi hui zindagi
wo meri zindagi

dard ke silsile
phul afsurda kaliyan niDhaal

khanDaron ki misal
baam ujDe hue

hairaton ke safar
hijraton ke nagar

aur be-rang afsurda pazhmurda atraf ka shor-o-shar
us ki yaadon ke dukh

us ki duri ke gham
na-rasai ke arman

aur karb ki dhund mein
us ki hijrat ke dukh

main jo palTun to mazi ki bezariyan
baal khole hue matami rang mein par-fishan

ek barzaKH ki wo raat thi
gunjti raat thi

jabki kamre mein sab jama the
us ne mujh se kaha

chalo aaj bahar ka mausam bahut dil-nashin hai