اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zahid Dar

;

main sitaron aur daraKHton ki KHamoshi ko samajh sakta hun
main insanon ki baaten samajhne se qasir hun

main insanon se nafrat nahin karta
main ek aurat se mohabbat karta hun

main duniya ke raston par chalne se mazur hun
main akela hun

main logon mein shamil hona nahin chahta
main aazad rahna chahta hun

main KHush rahna chahta hun
main mohabbat ke baghair KHush nahin rah sakta

main ek aurat ki mohabbat ka bhuka hun
main ek aurat ki mohabbat nahin pa saka

main tanhai se nikalne ka rasta nahin pa saka
main dukh mein mubtala hun

main ek aurat ko samajhne se qasir hun
main KHamoshi ki aawazon ko samajh sakta hun