اردو हिंदी
Sham se pahle ghar aa jaana | Shaahi Shayari
sham se pahle ghar aa jaana

Nazm

Sham se pahle ghar aa jaana

Yaqoob Tasawwur

;

har din mein wada karta hun
sham se pahle ghar aaunga

har din koi na koi mushkil
koi na koi kaam zaruri hai

patthar ban kar
mere kanch ke wade sare

chashm-e-zadan mein kar deta hai reza reza
wada karte waqt hamesha main ye sochun

us ki mohabbat sare kaamon se afzal hai
wo ki meri gham-KHwar har ek lamha har pal hai

kaam magar jab samne aaen
farz ki ahmiyat samjhaen

farz nibhane ki KHatir mein
rose wafa ko bhenT chaDha dun