subh ke tin bajne wale hain
nind hai dur meri aankhon se
karwaTen yun badal raha hun main
aaKHiri raat jaise rogi ki
chandni ris rahi hai khiDki se
ok mein bhar ke pi raha hun main
yaad si aa rahi hai bachpan ki
aasman bhar raha hai taron se
jhinguron ki sada hai kanon mein
jugnuon ki kai qataren hain
ek chatai bichhi hai aangan mein
jis pe leTe hue hain babu-ji
pas baiTha hua hun main un ke
gin raha hun hasin taron ko
ek hairat hai meri aankhon mein
sat ya aaTh ka raha hunga
samne mere thoDi duri par
ek chulha hai KHas miTTi ka
khir puri paka rahi hai man
man hi man gunguna rahi hai man
ghar ke chaukhaT ke pas hi maddhyam
ek naya lalTain jalta hai
dusri samt mere aangan ke
sath bachhDe ke gay baiThi hai
kar rahi hai jugali dhire se
yaad ab miT rahi hai bachpan ki
subh ke panch baj chuke hain aur
chandni ja chuki hai kamre se
unghta hai wo aaKHiri tara
shor karne lage hain kuchh panchhi
ek muazzin azan deta hai
baat kuchh aur der ki hi hai
surKH suraj dikhai dega ab
phail jaegi dhup aahista
aur main rose ki tarah apni
lash hathon mein KHud uThaunga
aur bhaTkunga shahr mein din-bhar
sirf do gaz kafan ki KHatir par
kaun jaane kafan mile na mile
ruh ko ek badan mile na mile
Nazm
Aks-rez
Tripurari