yahan tak hum aa gae hain 
aur han tumhaara pata inhin logon se malum hua jo mar chuke the 
jab hum chale the to aadhi umr bitane ke pachhtawe ke samne din Dub raha tha 
ek ghoDa khaDa tha 
aur hanp raha tha 
ek minute Thahro main thoDi si chae pi lun to aage baDhun 
mere hath mein ye jo safed kaghaz hai ise tumhaari himaqat nahin chhin sakti 
aur na hawa uDa sakti hai 
agar tum tairna jaante ho to zindagi bahut buri hote hue bhi bahut buri nahin 
tum bina thake hue bhi kai sal tak tair sakte ho 
agar tumhaare dil mein ek yaad bhi baqi hai 
to jugnuon se bhare hue jangal is duniya mein ab bhi hain 
ek jugnu kahin se pakaD lo 
aur use apni jeb mein rakh lo 
aur andhere mein chalo 
raushni tumhaari jeb se chhan-chhan ke rasta samghaegi 
magar suno 
jab rasta mil jae to jugnu ko chhoD dena 
aazad kar dena
        Nazm
1973 ki ek nazm
Ahmad Hamesh

