jab KHurshid-e-azadi ki phuTi thi kiran wo din aaya
chamke the ziya-e-KHas se jab kohsar-o-daman wo din aaya
jab qaid-e-qafas se chhuTe the murghan-e-chaman wo din aaya
be-tegh-o-sinan jab badli thi taqdir-e-watan wo din aaya
hangam-e-tarab hai ahl-e-watan hangam-e-tarab hai gham na karo
aahista-rawi hi manzil hai manzil ka yunhi matam na karo
bimar-e-watan ne pai hai mushkil se dawa-e-azadi
kanon ko sunai deti hai har samt nida-e-azadi
har KHurd-o-kalan har pir-o-jawan hai aaj nida-e-azadi
ye koshish sab par lazim hai daim ho baqa-e-azadi
aazadi-e-nau-maulud ko ab parwan chaDhao to jaanen
mushkil hai baDi is mushkil ko aasan banao to jaanen
aghyar ki talimat pe to sar dhunna kar-e-tiflan hai
aawara-mizaji ke sadqe aawara-mizaji aasan hai
rah-e-pur-KHar-e-amal mein jo pa-mard rahe wo insan hai
sahil se use kuchh kaam nahin jo waqif-e-ishrat-e-tufan hai
is yaum-e-mubarak par mil kar jai hind pukaro ahl-e-watan
jo jazba-e-KHidmat sust hai ab phir us ko ubhaaro ahl-e-watan
Nazm
15 august (1949)
Arsh Malsiyani