zulm ki kuchh miad nahin hai
dad nahin fariyaad nahin hai
qatl hue hain ab tak kitne
ku-e-sitam ko yaad nahin hai
aaKHir roen kis ko kis ko
kaun hai jo barbaad nahin hai
qaid chaman bhi ban jata hai
murgh-e-chaman aazad nahin hai
lutf hi kya gar apne muqabil
satwat-e-barq-o-baad nahin hai
sab hon shadan sab hon KHandan
tanha koi shad nahin hai
dawat-e-rang-o-nikhat hai ye
KHanda-e-gul barbaad nahin hai
Ghazal
Zulm ki kuchh miad nahin hai
Ali Sardar Jafri