zulf ko abr ka TukDa nahin likhkha main ne
aaj tak koi qasida nahin likhkha main ne
jab muKHatab kiya qatil ko to qatil likhkha
lakhnawi ban ke masiha nahin likhkha main ne
main ne likhkha hai use maryam o sita ki tarah
jism ko us ke ajanta nahin likhkha main ne
kabhi naqqash bataya kabhi meamar kaha
dast-e-fankar ko kasa nahin likhkha main ne
tu mere pas tha ya teri purani yaaden
koi ek sher bhi tanha nahin likhkha main ne
nind TuTi ki ye zalim mujhe mil jati hai
zindagi ko kabhi sapna nahin likhkha main ne
mera har sher haqiqat ki hai zinda taswir
apne ashaar mein qissa nahin likhkha main ne
Ghazal
Zulf ko abr ka TukDa nahin likhkha maine
Anwar Jalalpuri