اردو हिंदी
Zulf ka kya uski chaTka lag gaya | Shaahi Shayari
zulf ka kya uski chaTka lag gaya

Ghazal

Zulf ka kya uski chaTka lag gaya

Shah Naseer

;

zulf ka kya us ki chaTka lag gaya
zor-e-dil ke hath laTka lag gaya

tar-e-mizhgan par chala jata hai ashk
kaam par laDka ye naT ka lag gaya

chashm-o-abru par nahin mauquf kuchh
jaan-e-man dil jis ka aTka lag gaya

jam-e-gul mein kyun na de shabnam gulab
subh-dam ghunche ko chaTka lag gaya

manzil-e-gum-karda ek main hun 'nasir'
rah se jo koi bhaTka lag gaya