zulf jo ruKH par tere ai mehr-e-talat khul gai
hum ko apni tira-rozi ki haqiqat khul gai
kya tamasha hai rag-e-laila mein Duba nishtar
fasd-e-majnun bais-e-josh-e-mohabbat khul gai
dil ka sauda ek nigah par hai teri Thahra hua
narKH tu kya puchhta hai ab to qimat khul gai
aaine ko naz tha kya apne ru-e-saf par
aankh hi par dekhte hi teri surat khul gai
thi asiran-e-qafas ko aarzu parwaz ki
khul gai khiDki qafas ki kya ki qismat khul gai
tere aariz par hua aaKHir ghubar-e-KHat numud
khul gai aaina-ru dil ki kudurat khul gai
be-takalluf aae tum khole hue band-e-qaba
ab girah dil ki hamare fil-haqiqat khul gai
bandhi zahid ne tawakkul par kamar sau bar chust
lekin aaKHir bais-e-sussti-e-himmat khul gai
khulte khulte ruk gae wo un ko tu ne ai 'zafar'
sach kaho kis aankh se dekha ki chahat khul gai
Ghazal
Zulf jo ruKH par tere ai mehr-e-talat khul gai
Bahadur Shah Zafar