zulf-e-shab-rang jo banai hai
un dinon shane ki ban aai hai
haif sabit hai jeb ne daman
aur junun mein bahaar aai hai
kahe parwana shama-ru tujh ko
us ki aankhon mein charbi chhai hai
meri un ki bigaD hone se
KHub aghyar ki ban aai hai
pani mangega kya dahan-e-zaKHm
tegh ek aab-dar kahani hai
kalima un buton ne paDhwaya
KHub-rui hai ya KHudai hai
hama-tan ho gae hain aaina
KHud-numai si KHud-numai hai
yar se ho bhala raqibon ka
ai 'saKHi' bas yahi burai hai
Ghazal
Zulf-e-shab-rang jo banai hai
Sakhi Lakhnvi