zor-o-zar ka hi silsila hai yahan
lafz ko kaun puchhta hai yahan
pahla to ab kisi jagah bhi nahin
jis taraf dekho dusra hai yahan
raat din phir raha hun galiyon mein
mera ek shaKHs kho gaya hai yahan
sehr hai ya tilism hai kya hai
har koi rah bhulta hai yahan
har kahin sach hi bolna chahe
shayad 'akbar' naya naya hai yahan
Ghazal
Zor-o-zar ka hi silsila hai yahan
Akbar Hameedi