اردو हिंदी
Ziyan gar kuchh hua to utna jitna sud hota hai | Shaahi Shayari
ziyan gar kuchh hua to utna jitna sud hota hai

Ghazal

Ziyan gar kuchh hua to utna jitna sud hota hai

Shamim Abbas

;

ziyan gar kuchh hua to utna jitna sud hota hai
yahi jo hast hai is pal yahi to bud hota hai

teri maujudgi mahdud karti hai tujhe tujh tak
tu na-maujud hone hi pe la-mahdud hota hai

jise dekho ba-zoam-e-KHud hai Theke-dar jannat ka
kahin ik-adh hi mujh sa koi mardud hota hai

sabhi gup-chup taka karna but-e-be-his bana rahna
KHuda tujh hi sa kya sach-much mere mabud hota hai

wo pyasa tarsa barson ka tha aur main ru-ba-ru us ke
bas ek chingari ho to phir kahan barud hota hai

to pal bhar mein nadarat gum sabhi duniya jahan aalam
main us se aur wo mujh se jab badan-alud hota hai