zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai
itni viran meri rah-guzar hai kyun hai
tu ujale ki tarah aa ke lipaT ja mujh se
ek andhera sa idhar aur udhar hai kyun hai
roz milta hai koi dil ko lubhane wala
phir bhi tu hi mera mahbub-e-nazar hai kyun hai
ghar ki taswir bhi sahra ki tarah hai lekin
farq itna hai ki diwar hai dar hai kyun hai
jis ko dekhun wahi barbaad hua jata hai
aadmi kya hai mohabbat ka khanDar hai kyun hai
main samundar hun magar pyas hai qismat meri
mere daman mein agar 'ashk' guhar hai kyun hai
Ghazal
Zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai
Ibrahim Ashk