اردو हिंदी
Zindagi tujhse bichhaD kar main jiya ek baras | Shaahi Shayari
zindagi tujhse bichhaD kar main jiya ek baras

Ghazal

Zindagi tujhse bichhaD kar main jiya ek baras

Rifat Sarosh

;

zindagi tujh se bichhaD kar main jiya ek baras
zahr tanhai ka hans hans ke piya ek baras

ek andhere ka bhanwar tha mera mahaul magar
kaam ashkon se charaghon ka liya ek baras

kisi aandhi kisi tufan se bujhae na bujha
dil mein jalta hi raha gham ka diya ek baras

ek lamha bhi gawara na tha furqat ka 'sarosh'
ye bhi kya kam hai tere gham mein jiya ek baras