zindagi tere ajab Thor-Thikane nikle
pattharon mein teri taqdir ke dane nikle
dard Tis aur jalan se hain abhi na-waqif
zaKHm jo bachche hatheli pe ugane nikle
main to har shai ka KHaridar hun lekin wo aaj
itni jurat ki mere dam lagane nikle
nai tahqiq ne qatron se nikale dariya
hum ne dekha hai ki zarron se zamane nikle
talKH jumlon ke kahan tir KHata ho pae
dekhne mein to ghalat us ke nishane nikle
zehn mein ajnabi samton ke hain paikar lekin
dil ke aaine mein sab aks purane nikle
de na paya wo koi wada-KHilafi ka jawaz
muzmahil us ke na aane ke bahane nikle
main to KHushiyon ke ugata raha paude 'akmal'
aur har shaKH pe zaKHmon ke KHazane nikle
Ghazal
Zindagi tere ajab Thor-Thikane nikle
Akmal Imaam