zindagi se baDi saza hi nahin
aur kya jurm hai pata hi nahin
itne hisson mein baT gaya hun main
mere hisse mein kuchh bacha hi nahin
zindagi maut teri manzil hai
dusra koi rasta hi nahin
sach ghaTe ya baDhe to sach na rahe
jhuT ki koi intiha hi nahin
zindagi ab bata kahan jaen
zahr bazar mein mila hi nahin
jis ke karan fasad hote hain
us ka koi ata-pata hi nahin
kaise autar kaise paighambar
aisa lagta hai ab KHuda hi nahin
chahe sone ke frame mein jaD do
aaina jhuT bolta hi nahin
apni rachnaon mein wo zinda hai
'nur' sansar se gaya hi nahin
Ghazal
Zindagi se baDi saza hi nahin
Krishn Bihari Noor