zindagi rain-basere ke siwa kuchh bhi nahin
ye nafas umr ke phere ke siwa kuchh bhi nahin
jise nadan ki boli mein sadi kahte hain
wo ghaDi sham sawere ke siwa kuchh bhi nahin
dil kabhi shahr-e-sada-rang hua karta tha
ab to ujDe hue Dere ke siwa kuchh bhi nahin
hath mein bin hai kanon ki lawon mein baale
ye riya-kar sapere ke siwa kuchh bhi nahin
sans ke lahriye jhonkon se phaTa jata hai
jism kaghaz ke pharere ke siwa kuchh bhi nahin
aaj insan ka chehra to hai suraj ki tarah
ruh mein ghor andhere ke siwa kuchh bhi nahin
waqt hi se hai sharaf dast-e-dua ko hasil
bandagi sanjh-sawere ke siwa kuchh bhi nahin
faqr maKHdum hai laj-pal hai lakh-data hai
taj be-rahm luTere ke siwa kuchh bhi nahin
Ghazal
Zindagi rain-basere ke siwa kuchh bhi nahin
Sher Afzal Jafri