zindagi rah-e-wafa mein jo miTa dete hain
naqsh ulfat ka wo duniya mein jama dete hain
is tarah jurm-e-mohabbat ki saza dete hain
wo jise apna samajhte hain miTa dete hain
ek jul rose hamein aap naya dete hain
wada-e-wasl ko baaton mein uDa dete hain
KHum-o-mina-o-subu bazm mein aate aate
apni aankhon se kai jam pila dete hain
husn ka koi juda to nahin hota andaz
ishq wale unhen andaz sikha dete hain
kosne dete hain jis waqt butan-e-tannaz
hath uThae hue hum un ko dua dete hain
mere KHwabon mein bhi aate hain adu ke hamrah
ye wafaon ka meri aap sila dete hain
haalat-e-ghair pe yun KHair se hansne wale
is tawajjoh ki bhi hum tum ko dua dete hain
shahar mein rose uDa kar mere marne ki KHabar
jashn wo rose raqibon ka mana dete hain
dair-o-kaba ho kalisa ho ki mai-KHana ho
sab har ek dar pe tujhi ko to sada dete hain
ishwa-o-husn-o-ada par teri marne wale
kitne masum yunhi umr ganwa dete hain
pae gul-gasht wo gul-posh jo aae 'gulzar'
zindagi sabze ke manind bichha dete hain
Ghazal
Zindagi rah-e-wafa mein jo miTa dete hain
Gulzar Dehlvi