اردو हिंदी
Zindagi ne fasl-e-gul ko bhi pasheman kar diya | Shaahi Shayari
zindagi ne fasl-e-gul ko bhi pasheman kar diya

Ghazal

Zindagi ne fasl-e-gul ko bhi pasheman kar diya

Parvez Shahidi

;

zindagi ne fasl-e-gul ko bhi pasheman kar diya
jis bayaban par nazar Dali gulistan kar diya

tu ne ye kya ai sukut-e-shikwa-saman kar diya
dil ki dil hi mein rahi un ko pasheman kar diya

shukriya ai mausam-e-gul pas-e-wahshat hai yahi
gulsitan ko tu ne ham-diwar-e-zindan kar diya

kitne afsane bana kar rakh liye the shauq ne
yun naqab ulTi haqiqat ne ki hairan kar diya

kis qadar mazbut nikle tere diwane ke hath
sham-e-gham ko jab nichoDa subh-e-taban kar diya

phul barsae hain kya kya tegh-e-KHun-asham ne
tum ne shahar-e-gul-azaran ko gulistan kar diya

sina-e-sanat mein bhar kar apne dil ka iztirab
aahan-o-faulad ko main ne ghazal-KHwan kar diya