zindagi mein pahle itni to pareshani na thi
tang-damani thi lekin chaak-damani na thi
jam KHali the magar mai-KHana to aabaad tha
chashm-e-saqi mein taghaful tha pashimani na thi
ghaza-e-gham ek tha the sab ke chehre muKHtalif
ghaur se dekha to koi shakl anjaani na thi
jin safinon ne kabhi toDa tha maujon ka ghurur
us jagah Dube jahan dariya mein tughyani na thi
tujh se ummid-e-wafa KHwab-e-pareshan to na thi
bewafa umr-e-gurezan thi ki tulani na thi
paDh chuka apni ghazal 'manzur' to aisa laga
marsiya tha daur-e-hazir ka ghazal-KHwani na thi
Ghazal
Zindagi mein pahle itni to pareshani na thi
Malikzada Manzoor Ahmad