zindagi kya har qadam par ek nai diwar hai
tirgi diwar thi ab raushni diwar hai
kyun bhaTakti phir rahe hain aaj arbab-e-KHirad
kya junun ke raste mein aagahi diwar hai
bach nahin sakti taghayyur ke asar se koi shai
pahle sunti thi magar ab dekhti diwar hai
hum to wabasta hain aise daur se jis daur mein
aadmi ke raste mein aadmi diwar hai
jazba-e-jehd-o-amal se zindagi koh-e-giran
be-amal ho zindagi to ret ki diwar hai
aaj apne dushmanon se khul ke laD sakta nahin
dushmani ke raste mein dosti diwar hai
ruh kyun muztar na ho 'jami' harim-e-jism mein
jis taraf bhi dekhti hai aahani diwar hai

Ghazal
Zindagi kya har qadam par ek nai diwar hai
Syed Meraj Jami