zindagi ko zaKHm ki lazzat se mat mahrum kar
raste ke pattharon se KHairiyat malum kar
TuT kar bikhri hui talwar ke TukDe sameT
aur apne haar jaane ka sabab malum kar
jagti aankhon ke KHwabon ko ghazal ka nam de
raat bhar ki karwaTon ka zaiqa manzum kar
sham tak lauT aaunga hathon ka KHali-pan liye
aaj phir nikla hun main ghar se hatheli chum kar
mat sikha lahje ko apni barchhiyon ke paintare
zinda rahna hai to lahje ko zara masum kar
Ghazal
Zindagi ko zaKHm ki lazzat se mat mahrum kar
Rahat Indori