اردو हिंदी
Zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah | Shaahi Shayari
zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah

Ghazal

Zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah

Sattar Syed

;

zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah
hum muKHatib hue aap se be-nawa aadmi ki tarah

duriyon se ubharta hua aks taswir banta gaya
guftugu raat karti thi hum se hawa aadmi ki tarah

kaun kya sochta hai hamare rawayyon pe socha nahin
umr hum ne guzari hai ek mubtala aadmi ki tarah

rauzanon tak se koi makin jhankta ye bhi mumkin na tha
dastaken deti phirti thi baad-e-saba aadmi ki tarah