اردو हिंदी
Zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya | Shaahi Shayari
zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya

Ghazal

Zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya

Krishna Mohan

;

zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya
ek din itna hansa wo hanste hanste mar gaya

bujh gaya ehsas tari hai sukut-e-be-hisi
dard ka daftar gaya saman-e-shor-o-shar gaya

shaKHs-e-mamuli mera jo mal-e-wafir chhoD kar
marte marte tohmaten chand apne zimme dhar gaya

is qadar sanjida tha wo dafatan buDha hua
aur phir ek dopahar biwi ko bewa kar gaya

durdarshan par tarab aagin tamasha dekh kar
KHush hua wo is qadar mare KHushi ke mar gaya

dar haqiqat maut ka matlab to hai naql-e-makan
jis tarah kamre ke andar se koi bahar gaya

kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisa akela-pan ki log
maut se Darte hain main to zindagi se Dar gaya