zindagi ka nishan hain hum log
ai zamin aasman hain hum log
roz jite hain roz marte hain
kis qadar saKHt-jaan hain hum log
zindagi muskura to de ek bar
ek shab mehman hain hum log
suraten dhul ho chuki hain magar
husn ke pasban hain hum log
KHud se milte hain dushmanon ki tarah
ghair par mehrban hain hum log
ek yahi dard to mila hai hamein
sher-o-naghma ki jaan hain hum log
shaKH-e-gul mein jo hum lachak jaen
khinch gae to kaman hain hum log
hum se milta hai manzilon ka pata
aur KHud be-nishan hain hum log
ab bhi lipTe hain teri Thokar se
zindagi teri aan hain hum log

Ghazal
Zindagi ka nishan hain hum log
Mushtaq Naqvi