zindagi jis par hanse aisi koi KHwahish na ki
ghao sine mein sajae ghar ki aaraish na ki
nukta-chini par meri tum itne bargashta na ho
kah diya jo kuchh bhi dil mein tha magar sazish na ki
ek se haalat aae hain nazar har daur mein
ruk gae mere qadam ya waqt ne gardish na ki
jhuk gaya qadmon pe tere phir bhi sar uncha raha
aankh patthar ho gai jalwon ki farmaish na ki
lakh nazron ko uchhaala tu na aaya baam par
sae sar paTKHa kiye diwar ne jumbish na ki
main ne jin aankhon ko sine mein utara phir gain
KHud ko apnane ki is Dar se kabhi koshish na ki
rah ke mahdud-e-wasail ki 'muzaffar' ne basar
panw phaila kar kabhi chadar ki paimaish na ki

Ghazal
Zindagi jis par hanse aisi koi KHwahish na ki
Muzaffar Warsi