zindagi hogi meri ai gham-e-dauran ek roz
main sanwarunga teri zulf-e-pareshan ek roz
gul khilaegi nai mauj-e-bahaaran ek roz
TuT hi jaenge qufl-e-dar-e-zindan ek roz
kitne uljhe hue haalat-e-zamana hain abhi
honge shane pe mere gesu-e-jaanan ek roz
ahl-e-zindan se ye kah do ki zara sabr karen
hoga har samt gulistan hi gulistan ek roz
aa ke ek roz jalaunga muradon ke diye
teri mahfil mein karunga main charaghan ek roz
jaan deta hun abhi ishq ke andaz pe main
husn hoga mere pahlu mein ghazal-KHwan ek roz
kuchh andhere hain abhi rah mein hail 'aKHtar'
apni manzil pe nazar aaega insan ek roz
Ghazal
Zindagi hogi meri ai gham-e-dauran ek roz
Akhtar Ansari Akbarabadi