zindagi ehsan hi se mawara thi main na tha
taq par rakkhi hui meri dawa thi main na tha
meri hasti aaina thi ya shikast-e-aina
baat itni si na samjhe mere sathi main na tha
tu hi to sab kuchh sahi na-chiz ye ab kuchh sahi
wo to meri ibtida be-intiha thi main na tha
dekhta rahta hun manzar didani na-didani
han magar hairan chashm-e-ma-siwa thi main na tha
tu mujhe dushman samajhta hai to dushman hi sahi
tu bhi waqif hai koi nadan sathi main na tha
mere andar ka darinda kha raha tha pech-o-tab
aur phir shaistagi zanjir-e-pa thi main na tha
KHair ab to chyunTi bhi dauDti hai kaTne
jhulte the jab ki darwaze pe hathi main na tha
Ghazal
Zindagi ehsan hi se mawara thi main na tha
Rauf Khair

