zindagi-bhar dahr ki nairangiyan dekha kiye
gardish-e-ayyam-o-daur-e-asman dekha kiye
hum asiran-e-qafas ki hae re majburiyan
samne aankhon ke jalta aashiyan dekha kiye
aashiyan bandha kiye har fasl-e-gul mein ham-safir
aur hum apne qafas ki tiliyan dekha kiye
aashiyan bandha magar aasudgi ka zikr kya
kis tarah girti hain us par bijliyan dekha kiye
jaan bhi aaKHir maraz ke sath ruKHsat ho gai
hum teri rah ai masiha-e-zaman dekha kiye
Ghazal
Zindagi-bhar dahr ki nairangiyan dekha kiye
Hari Chand Akhtar