اردو हिंदी
Zindagi apni kaamyab nahin | Shaahi Shayari
zindagi apni kaamyab nahin

Ghazal

Zindagi apni kaamyab nahin

Nadir Shahjahanpuri

;

zindagi apni kaamyab nahin
gham-e-dauran ka kuchh hisab nahin

dard jis mein na ho wo dil kaisa
naz jis mein na ho shabab nahin

mauj-e-dariya ko chahiye tezi
jo uThae na sar habab nahin

dost teri harim-e-aqdas mein
ek banda hi baryab nahin

KHwab-e-marg aaega zarur ek din
ye haqiqat hai koi KHwab nahin

tere bab-e-qubul par yarab
arz meri hi mustajab nahin

kaam ye la jawab karte ho
mere KHat ka koi jawab nahin

mere jurmon ka kuchh hisab to hai
tere hi rahm ka hisab nahin

kya karun teri did ki hasrat
jab mujhe dekhne ki tab nahin

dekh gahri nazar se dariya ko
koi aisi khuli kitab nahin

tujh se bekas hain saikDon 'nadir'
zer-e-gardun tu hi KHarab nahin