zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun
ek gardish-e-mudam mein tu bhi hai main bhi hun
be-farsh-o-baam silsila-e-kaenat ke
is be-sutun nizam mein tu bhi hai main bhi hun
be-sal-o-sin zamanon mein phaile hue hain hum
be-rang-o-nasl nam mein tu bhi hai main bhi hun
is daimi hisar mein hum ko mafar kahan
zarron ke azhdaham mein tu bhi hai main bhi hun
har tirah-fam subh ka wirsa hai mushtarak
har nur-dida sham mein tu bhi hai main bhi hun
Ghazal
Zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun
Akbar Hyderabadi