zikr hai dard ka ek shahr basa hai mujh se
ab ye jaana ki mera dard baDa hai mujh se
bahut ehsan hai jo koi bhi mila hai mujh se
shahr ka shahr magar jaise KHafa hai mujh se
bar-ha KHud pe main hairan bahut hota hun
koi hai mujh mein jo bilkul hi juda hai mujh se
kaT se jate hain sabhi koi nahin kuchh kahta
kaun sa jaane qusur aisa hua hai mujh se
munh pe kahne to lage hain meri basti wale
baat karne ka chalan kuchh to chala hai mujh se
baat karte hue KHud se jo guzarta hai koi
mujh ko lagta hai ye kuchh us ne kaha hai mujh se
abhi lauT aaega meri hi tarah kuDhta sa
mere hi ghar ka pata puchh gaya hai mujh se
main ne ye sab se kaha tum to kahin ke na rahe
aur dekho ki yahi sab ne kaha hai mujh se
hai koi mujh sa kahun kya na main jaanun na kuchh aur
aur mera hi pata puchh raha hai mujh se
'talKH' jata hi nahin dukh ke nagar kahta hai
hai wahan jo bhi wo mil kar hi gaya hai mujh se
Ghazal
Zikr hai dard ka ek shahr basa hai mujhse
Manmohan Talkh