zist ki garmi-e-bedar bhi laya suraj
khul gai aankh meri sar pe jo aaya suraj
phir shuaon ne mere jism pe dastak di hai
phir jagane mere ehsas ko aaya suraj
kisi dulhan ke jhamakte hue jhumar ki tarah
raat ne subh ke mathe par sajaya suraj
sham ko ruTh gaya tha mujhe taDpane ko
subh-dam aap mujhe DhunDne aaya suraj
kam na tha us ka ye ehsan ki jate jate
kar gaya aur bhi lamba mera saya suraj
Dalte us pe kamanden wo koi chand na tha
sau jatan sab ne kiye hath na aaya suraj
KHub waqif tha wo insan ke andhe-pan se
jis ne bhi din ke ujale mein jalaya suraj
log kahte rahe suraj ko dikhaenge charagh
aur hi rang tha jab samne aaya suraj
shab ko bhi ruh ke aangan mein rahi dhup 'qatil'
chand taron ne bhi aa kar na bujhaya suraj
Ghazal
Zist ki garmi-e-bedar bhi laya suraj
Qateel Shifai