zid na kar mat samay milan ka ujaD
prit ka rog tujh ko dega pachhaD
baiTh kar ghar mein likh nae ashaar
ja ke saDkon pe laDkiyon ko na taD
ishq aur wasl do ruKH ek taswir
rai ko to samajh rahi hai pahaD
dekh ab kitne shadman hain ye log
Dal kar mujh mein aur tujh mein bigaD
ras ki har lahr ke ajab mausam
dhup ke poh chandni ke asaDh
kab talak us ki dhun mein ghumega
boot ki To pe chipki gard ko jhaD
Dhalti raat intizar ek parchhain
sabza bangla siyah gulab ki baD
Ghazal
Zid na kar mat samay milan ka ujaD
Nasir Shahzad