zehan aur dil mein jo rahti hai chubhan khul jae
aae kaghaz pe to salma-e-suKHan khul jae
qatra-e-dida-e-namnak masihai kare
fikr ke band darichon ki shikan khul jae
main use roz manata hun sahar hone tak
mere allah kisi shab to ye dulhan khul jae
ek KHushbu si hai jo ruh ki gahrai mein
lafz mil jaen to mani ka chaman khul jae
is tarah jage kisi roz ghazal ka jadu
jaise masti mein piya se koi jogan khul jae
nim-shab ijz-o-samajat se karun dast daraaz
lafz dhone ke liye aankhon mein sawan khul jae
sar-kashi aur tajawuz se bachana yarab
mere ehsas mein gar yas ka phan khul jae
Ghazal
Zehan aur dil mein jo rahti hai chubhan khul jae
Badr Wasti