zeb us ko ye aashob-e-gadai nahin deta 
dil mashwara-e-nasiya-sai nahin deta 
kis dhund ki chadar mein hai lipTi koi aawaz 
dastak ke siwa kuchh bhi sunai nahin deta 
hai ta-hadd-e-imkan koi basti na bayaban 
aankhon mein koi KHwab dikhai nahin deta 
aalam bhi qafas rang hai aisa ki nazar ko 
is dam-e-tahayyur se rihai nahin deta 
yaadon ko sula deta hai sae mein shajar ke 
wo hausla-e-dard-e-rasai nahin deta 
dil us ka hatheli pe hai mere liye lekin 
hathon mein mere dast-e-hinai nahin deta 
aaraish-e-jaan ke liye kafi nahin wahshat 
mujh ko to koi zaKHm dikhai nahin deta 
is ishq mein kuchh shaiba-e-hirs bhi hoga 
main quwwat-e-baatin ki safai nahin deta 
raushan hai shab-e-hijr ba-andaz-e-talluq 
wo mehr-e-nazar dagh-e-judai nahin deta
        Ghazal
Zeb usko ye aashob-e-gadai nahin deta
Syed Amin Ashraf

