zauq-e-nazar ko jalwa-e-be-tab le gaya
tabir ke nashat ko ek KHwab le gaya
mauj-e-subuk-KHiram ki tahrik hi to tha
wo hausla jo mujh ko tah-e-ab le gaya
sar un ki bargah mein jhuk to gaya magar
dil aabru-e-mimbar-o-mehrab le gaya
naghmat-e-dil faza mein bikharne na pae the
tar-e-nafas ko sadma-e-mizrab le gaya
dil irtiqa-e-zehn ka hasil to ho gaya
husn-e-yaqin ko aalam-e-asbab le gaya
hairat-fishaniyan mujhe de to gaya magar
aaina zindagi ki tab-o-tab le gaya
hum ne mahal banae the kuchh regzar par
jin ko baha ke waqt ka sailab le gaya
Ghazal
Zauq-e-nazar ko jalwa-e-be-tab le gaya
Fitrat Ansari