zauq-e-amal ke samne duri simaT gai
darwaza hum ne khola to diwar haT gai
beTe ko apne dekh ke ek bap ne kaha
tum ho gae jawan magar umr ghaT gai
pahle to KHud ko dekh ke hairat-zada hui
chiDiya phir aaine se lapak kar chimaT gai
patwar bhi uThane ki mohlat na mil saki
aisi chali hawaen ki kashti ulaT gai
naraaz ho gaya hai KHuda sab se ai 'shafaq'
duniya tamam pyar ke rishte se kaT gai
Ghazal
Zauq-e-amal ke samne duri simaT gai
Aziz Ahmad Khan Shafaq