zarur waqt hi kuchh chaal chal raha hoga
wahi bisat pe mohre badal raha hoga
utar raha hai sabhi raston se ek dariya
pahaD barf ka koi pighal raha hoga
use khilaune diye the kisi ne bachpan ke
wo ek paon pe ab bhi uchhal raha hoga
libas apna badal aaya tha bahut pahle
wo ab to shakl hi apni badal raha hoga
nahin hai aur kisi mein ye hausla itna
hawa ke sath parinda hi chal raha hoga
hawa yunhi nahin aati hai ghusse mein 'sima'
charagh koi kahin par to jal raha hoga
Ghazal
Zarur waqt hi kuchh chaal chal raha hoga
Seema Sharma Meeruthi