zarra zarra karbala manzar-ba-manzar tishnagi
apne hisse mein to aai hai sarasar tishnagi
ye bhi dekha hai sarabon se hue sairab log
paniyon ke sath bhi bahti hai aksar tishnagi
ho gain palkon se hi ruKHsat wo maujen KHwab ki
Dera Dale hai yahan aankhon ke andar tishnagi
tujh mein gar barish samundar ke barabar hai to kya
mere andar bhi hai sahra ke barabar tishnagi
is mohazzab shahr mein aadab hain kuchh jashn ke
raqs karti hai yahan nezon ke upar tishnagi
kyun hamari chhat ke upar baadalon ka shor hai
kya hamare ghar mein jaegi mukarrar tishnagi
Ghazal
Zarra zarra karbala manzar-ba-manzar tishnagi
Nazeer Azad