zarra harif-e-mehr daraKHshan hai aaj kal
qatre ke dil mein shorish-e-tufan hai aaj kal
sad-jalwa be-hijab KHiraman hai aaj kal
sahma hua sa gumbad gardan hai aaj kal
aansu mein aks-e-naqsha-e-dauran hai aaj kal
simTa hua sa aalam-e-imkan hai aaj kal
barham mizaj-e-fitarat-e-insan hai aaj kal
kis maKHmase mein ghairat-e-yazdan hai aaj kal
qismat ki tirgi ki kahani na puchhiye
subh-e-watan bhi sham-e-ghariban hai aaj kal
shiraaza-e-ummid shikasta hai in dinon
jamiyat-e-KHayal pareshan hai aaj kal
hai ek nigah-e-mehr ki 'wasif' ko aarzu
'wasif' ka dil shikasta o viran hai aaj kal

Ghazal
Zarra harif-e-mehr daraKHshan hai aaj kal
Wasif Dehlvi