zard phulon mein basa KHwab mein rahne wala
dhund mein uljha raha nind mein chalne wala
dhup ke shahr meri jaan se lipaT kar roe
sard shamon ki taraf main tha nikalne wala
kar gaya aap ki diwar ke sae pe yaqin
main daraKHton ke hare des ka rahne wala
us ke talab ki bataKHen bhi kanwal bhi roe
ret ke mulk mein hijrat tha jo karne wala
Ghazal
Zard phulon mein basa KHwab mein rahne wala
Ali Akbar Natiq