اردو हिंदी
Zard peDon pe naya rang zara aane de | Shaahi Shayari
zard peDon pe naya rang zara aane de

Ghazal

Zard peDon pe naya rang zara aane de

Javed Shaheen

;

zard peDon pe naya rang zara aane de
is taraf bhi nae mausam ki hawa aane de

jumbish-e-chashm se garma de mera sard lahu
sust dariya ko samundar ki sada aane de

shaKH-e-haalat se ab jhaD bhi de tursh samar
talKH honTon pe koi taza maza aane de

yun to kha jaegi zulmat-e-dil-o-jaan sab ko
band kamron mein kahin se to ziya aane de

garm raaton mein KHunuk zau ki paDe dil pe phuwar
surKH hathon ki koi sham-e-hina aane de

jama hai zehn mein kitna KHas-o-KHashak-e-KHayal
is khaDe pani mein bhi mauj-e-bala aane de

KHushk patton se bhari shaKHen huin bar-e-nazar
bagh ka sab se baDa peD hila aane de

KHwahish-e-saya mujhe chalne na degi 'shahin'
rah ki pahli ye diwar gira aane de